Sunday, July 14, 2013

Aadunikikaran (Modernization)

Aadunikita naam ki sadak bhartiya sabhayta se chal kar paschimi sabhayta tak jaati hai!
 Jisne bhi aadunikata ki sadak par kadam rakha wahi bhartiya sabhayta ko chhod kar paschimi sabayta ka praaroop ban gya!
Isiliye lagbhag 99% is sadak par nikal chuke hain artharat bhartiya sabhayta purane jamane ki ek kahani ban kar reh gayi!
Bade dukh ki baat hai ki hum bharatvasi hokar bhi bhartiya sabhayta ko apni sabhayta nahi maante!
subah jaldi jo samya hota hai use hamare rishi-muni barhammurt kehte the! jis samya me sannan-soch aadi se nivarit hokar ekaant me baithkar bhagwan ka bhajan kiya jaata tha!
jise puja paath ka naam diya jaata tha!
Itihaas kehta tha hai ki raja KARAN subah uthkar 50 sher(kilo) sona(gold) daan kiya karta tha!
isiliye log is samya ko raja karan samya bhi kehte the! aaj us samya ka istemaal race(bhaagdood) me kiya jata hai!
jab kisi ki din ki suruaat hi bhaagdood se hoti ho to wo saanti ki umeed kya karega!
aaj aadunikata ki vajah se har samya ka mehtav badal chuka hai!
subah naaste me makhan,dahi ya lassi li jaati thi! jis se mann shaant rehta tha! BP ya SUGAR bhi nahi hote the!
aadunikata ke daur me naaste me chaay(TEA) saravpratham jo nashe ke sath sath ugar bhi hai!
jis se mann ki teji ek savbhavik hai! kyonki chaankya niti me likha hai jaisa khave ann vesa hove mann!
uske baad jab dopehar hoti thi purane logon ka vichar hota tha ki dopehar me surya bhagwan ka rath ruk jata hai! isiliye dopehar ka khaana khaya jata tha! aur kuchh aram bhi kiya jata tha!
 Aaj ki bhagdood bhari jindgi me berojgaar to bahut hai magar fursat kisi ke pass nahi hai!


No comments:

Post a Comment