Tuesday, July 23, 2013

safed libas ke pichhe kya hai?

safed libas sadgi v sabhyta ka pratik mana jata tha!
par aaj safed libas badnami  ka paryayvachi ban gya hai!
jo jooth safed libas khadi ka vastra pehan kar boli jaati hai wo kisi or vesh-bhusa me sobha nahi deti!
ye sabh prachalit hua vote ki raajniti se! jab bhi koi neta kisi jan-sabha ko sambodhit karta hai to uski pehli pasand safed khadi ka libas hi hota hai!
fir usko jooth bolne ki chhut mil jati hai! us jooth ke dum par vote ikatthe kar ke jab vidhan-sabha ya lok-sabha mein pahunch jata hai to wo sab vayde , kahi gayi baatein bhool kar wo jooth ki bajay loot me leen ho jata hai!
vastav me neta kon hai? jise jooth v loot ki chhut ho!


aaj hamare desh me chhoti badi sabhi partiyon ka aakalan kiya jaaye to sayad 100 ke aaspass ginti ban jaaye!
sabhi partiyon ke neta ek dusre ki kami nikalte hain! ek dusre par kichad uchhalte hain!
khud apne daaman me jhankne ka khayal kisi ko bhi nahi hai!
koi ye nahi sochta ki mere baare me log kya socheinge??


aaj desh me siksha  ne kaafi tarakki  ki ha! aaj ka samaj sikshit mana jata hai!
har taraf sabhyta ki baat kahi jati hai!
magar ye sochne par bada dukh hota hai ki tamaam yogyataon ke baavjood ek aadmi laakhon logon ko bevkuf bana deta hai!
wo jese kehta hai public usi  dhara me behna shuru kar deti hai!

siksha se samaj me jo badlaav hone chahiyein kya wo sab ho chuke hain?
aaj desh me kitne crime hote hain! jinme karne wale ki kaabiliyat nahi balki uska vehsi jaanver wala andaaj hota hai! kya ye siksha hai?? aaj siksha me naitikta ki kami aai hai! yani samaj ke naitik mulyon ka patan hua hai! 
samaj me jitni bhi buraai aai hai! unka karan siksha ke pathan paathan ka tarika bhi kuchh had tak jimmevaar hai! kuchh berojgaari!
aaj kal schools me charitar bare koi vishesh dhyan nahi hai! Udharan ke tor par hum har roz akhbaaron me guru v shishhyaa(girl student) ke bare me bahut kuchh padhte hain! jab adhyapak hi charitarhin hoga! wo bachon ka kya charitar nirmaan karega????

vidur niti ka lekh hai>>>>>>>>>>>.
yatha raja tatha praja!
kesa khave ann vesa hove mann!

aaj desh ka vatavaran dusit ho chuka hai! logon ka khana dusit hai! pehnava dusit hai! aachar vyavhar dusit hai! 
hume apni soch ko badalna hoga! aapne aap ko badalna hoga! har galat kaam galat kaam ka virodh karne ki himmat jutani hogi! 
galat kaam karne walon ko sabak sikhane ki himmat tab tak nahi hogi tab tak desh ka patan hoya jaayega! 
apne aap ko badaliye tabhi desh badalega!!!

JAI HIND

No comments:

Post a Comment