Sunday, July 21, 2013

Azadi

Azadi>>>>

kya aaj hum azad hain?
agar sachmuch bharat azad hai to janta sukhi kyon nahi?
kya bharat me koi bhi samaj ye keh sakta hai ki hum pyran azad hain?
jis desh me aurton ka ghar se nikalna khatre se khali nahi! kya us desh me aurat varg azad hai?
jis desh me har roz koi na koi vyapari pese ki lut ke chakkar me kisi ki goli ka sikar ho jata hai! kya wo vyapari varg azad hai?
jab apna huq magne walon par lathicharge hota hai kya wo kisan karamchari ya adhyapal azad hai?
jinko apna huq magne ke liye police ki goli ka sikar ka khatra bana rehta hai!
jahan bijli ka transformer badalne ke liye risvat deni padti hai! hafton chakkar lagane padte hain!
kya bijli jalane ke liye risvat dena azadi hai?
kya police ko koi application dene ke liye risvat dena azadi ka diya tofa hai?

aayogya bachon ka aarakshan ke naam par select hona or wo  bhi sasti sikhsa ke aadhar par tatha mehangi sikhsa v jyada number lekar apne aap ko yogya sabit karne wale chhatar berojgar kyon firte hain?
kyonki wo SC/BC nahi hain?
kya yahi azadi hai?

kya kisi ki yogyata ko nazarandaaz karna hi azadi hai?
agar ye azadi hai to gulami kya thi?
har taraf bharastachar hai,bhookmari hai, gundagardi hai,aatankwaad hai,beimaani hai,risvatkhori hai, kalabazari hai kya yahi hai azadi ki den?
kya yahi hai subhash chandra bose ke sapno ka azad bharat?

kya aarakshan aarthik adhaar par nahi hona chahiye?
kya naukari yogyta ke adhaar par nahi honi chahiye?

jo bharastachar,risvatkhori ya kalabazari karke janta ke vishwas ka katal karte hain! kya unko saza-e-maut nahi honi chahiye?

jo har jagah aarakshan ka sahara  lekar badi muskil se border line paar karke pass hua hai!
 Doctor ya Engineer ban-ne ke kabil hai ya wo jo merit hai?
jawab aap sochiye?

is vote ki gandi raajniit ne azadi ko kya bana diya?
Jara sochiye?

JAI HIND


No comments:

Post a Comment