Thursday, July 18, 2013

MILAVAT

"MILAVAT">>>>>>>>>>>>>>>

Aaj mehangai ke is daur me milavat itni jaruri hai jitna saans lena! pehle doodh me sirf pani ki milavat ki jaati thi! aaj to pura doodh hi chemicals se tyra kiya jaata hai! jisme milavat ke kuchh experts kehte hain ki is nakli doodh me kuchh asli doodh ki bhi milavat ki jaati hai!

jo nakli ghee tyar hota hai wo sabhi milavat to hoti hain par desi ghee ka naam nahi hota! ab jese rajneton me beimaani ki milavat, bharastachar ki milavat, kutniti ki milavat,frabe ki milavat aadi aadi!
asli neta vahi maana jata hai jisme ye sabhi milavat ho!

bhesi sadhuon me bhi milavat! aatankvadiyon me milavat! adhyapako me milavat! vidhyarthiyo me milavat!
jab maa or baap ki jaati or dharam bhi alag alag hai to unme bhi milavat hai! 
to aulad bhi milavat ki hi hogi!

kalam chadha kar pedh podhon me bhi milavat ki jaati hai! pashunon me bhi milavat hai! 
to is jamane me kis chij ki umeed kar sakte hain jo bina milavat ki ho?

khane pine ki sab chijon me milavat hai! kapde me milavat hai! pani me milavat hai! sharab me milavat hai! 
mujhe to sak hota hai sayad aaj bhagwan bhi milavat ka na ho?
jab kisi peer par jaate hain wahan hindu bhi paate hai musalmaan bhi paate hain sikh or ishaai bhi paate hain! jis bhagwan ke bhagat mile jule hai sayad wo bhagwan bhi milavat ka ho?

jab sarkar miljuli hoti hai to netaon me bhi milavat hai!
 hey bhagwan kya is desh ko milavat se chhutkara milega??
Aao sab milkar us paramaatma se dua karein ki hey malik insaan se to nahi ban pata aap hi kahin to sodhata rehne do! koi to chij dunia me koi to chij esi mile jisme milavat na ho! 

Aapko koi esi chij mile to kripya hume bhi pata dein! 

JAI HIND
 

No comments:

Post a Comment