Monday, July 22, 2013

Jai Hind

Jai Hind

Hume to apno ne luta...
Gairon me kahan dum tha???
meri kasti wahan dubi....
jahan pani kam tha..!!!

Jai Hind ka matlab hai "Hind ki Jai"
Yani hindiwadi rastra ki jai ya Hindustan ki jai!
Hindustan jahan hindutav ka samrajya ho! jo desh Hindi Bhashi ho!

Jai hindustan kaho ya jai bharat kaho magar jai india mat kehna!
kyonki india bharat ka aadi naam nahi hai!
jab 1600AC me Bharat me angrezon ka aagman hua to unhone yahan eastindia company banai thi!
jisne jariye bharat par angrezon ne kabza kiya or bharat ka naam india rakh diya...yani pure bharat to company ka ek hissa bana diya!
india angrezon ka diya naam hai!
india wo desh hai! jahan hindi ka koi mehtav nahi! hindutav ka koi mehtav nahi!
jisme apnapan nahi balki beiganepan ki boon aati hai! or aaye bhi kyon na ye naam bhi beigana hai!
yahan niyam bhi beigane hain!
yahan kaanoon bhi to angrezon ka hi hai!

india us desh ka naam hai jahan bharat mata ki raksha karne walon ko, desh hit ki baat karne walon ko tarah tarah ki yatnayein di jaati hain!
aur desh ke dushmano ko jail ke ander bhi tamaam suvidhayein di jaati hain!
unki security par crores kharach kiye jaate hain!

jahan desh ke rakshak hi desh ko khane me lage hue hain wahan jai hind kehna kya bharat ki jeet karga?????

ek ek ghotala puri state ka roti,kapda v dawai aadi ke tamaam kharach me 1 saal tak khatam nahi hota! jise ek akela neta hajam kar jata hai!
jis desh ke ese desh bhagat neta hon us desh ki jai kese ho sakti hai!
jai ka arath hai jeet yani tarakki! arthaarat saktisampan hona! saktisampan kab hoga?
jab desh ka kaanoon desh ki raksha ke liye hoga! jab neta dil se apni jagah desh ko mehtav denge!

jai hind kehne walon ne desh ke liye jaan di hai!
magar aaj desh ke sarvesarva apne liye desh ko khatam karne par tule hain!
khali juban se jai hind kehne se kya hoga???

jai kehne ke liye hindustan ki jeet karni hogi! jeet tabhi hogi jab sabhi bharatvasi tann,mann................dhann se bharat ki raksha ki chahat dil me rakheinge!

jab raajniti desh hit ke liye hogi! dhann kamane ka sadhan nahi!
jai hind tabhi hoga jab desh bachega!
aur desh tab bachega jab deshvasi desh-hit chaheinge!
nahi to n ye desh bachega na aap na hum!
na hoga hindustan na hogi jai hind!
jai hind ke liye desh bachaao! desh ko hindustan banaao!
india nahi! hindustan wahi jahan paramparanein jinda hain!
jahan bhartiya sanskriti jinda hai! nahi to yahan paschimi sabhyata aadikaar jama rahi hai!
yahan riston ka mehtav khatam ho rha hai! desh hit ki bhavna nahi hai! sabhi or hahakar hai! bharastachar hai! pese ke liye maaramaari hai!
agar yahi hota raha to ye bharat nahi hindustan nahi sirf india reh jaayega!
isliye jai hind nahi jai india bolna padega!
faisla aapka hai.....aapke hath me hai!
aapko india pasand hai ya hindustan?

JAI HIND

No comments:

Post a Comment